hui jo sham raste gharon ki samt chal paDe
huī jo shaam rāste gharoñ kī samt chal paḌe
hameñ magar ye kyā huā ye ham kidhar nikal paḌe
kisī kī ārzūoñ kī vo sard laash hī sahī
kisī tarah to jism kī harārtoñ ko kal paḌe
usī kī ġhaflatoñ pe merī azmateñ haiñ munhasir
ḳhudā-na-ḳhāsta ki us kī niiñd meñ ḳhalal paḌe
safar tavīl thā magar ghaTā uThī umiid kī
kaḌī thī dhuup dekheñ kis pe sāya-e-ajal paḌe
hui jo sham raste gharon ki samt chal paDe
hamein magar ye kya hua ye hum kidhar nikal paDe
kisi ki aarzuon ki wo sard lash hi sahi
kisi tarah to jism ki hararton ko kal paDe
usi ki ghaflaton pe meri azmaten hain munhasir
KHuda-na-KHasta ki us ki nind mein KHalal paDe
safar tawil tha magar ghaTa uThi umid ki
kaDi thi dhup dekhen kis pe saya-e-ajal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.