hui muddat ki ghane peD se jhanka suraj
huī muddat ki ghane peḌ se jhāñkā sūraj
mere āñgan se ḳhafā ab bhī hai bāñkā sūraj
chāñd tāroñ pe nigāheñ thiiñ ki Tik jaatī thiiñ
surḳh āñchal meñ hayā-dār ne Tāñkā sūraj
jab kabhī chāñd mirī chhat pe utar aayā hai
parda-e-shab ne baḌe pyaar se Dhāñkā sūraj
so.e jañgal ke agar chand shajar jaag ga.e
ye huā hai ki havāoñ ne hai hāñkā sūraj
vaqt meñ qaid kiyā nuur likhā dev kahā
har zamāne ne ka.ī Dhañg se aañkā sūraj
taaz meñ vus.at-e-aflāk meñ bikhre na kahīñ
bārhā jauhar-e-zarrāt ko phāñkā sūraj
hui muddat ki ghane peD se jhanka suraj
mere aangan se KHafa ab bhi hai banka suraj
chand taron pe nigahen thin ki Tik jati thin
surKH aanchal mein haya-dar ne Tanka suraj
jab kabhi chand meri chhat pe utar aaya hai
parda-e-shab ne baDe pyar se Dhanka suraj
soe jangal ke agar chand shajar jag gae
ye hua hai ki hawaon ne hai hanka suraj
waqt mein qaid kiya nur likha dew kaha
har zamane ne kai Dhang se aanka suraj
taz mein wusat-e-aflak mein bikhre na kahin
barha jauhar-e-zarraat ko phanka suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.