hui taKHir to kuchh bais-e-taKHir bhi tha
huī tāḳhīr to kuchh bā.is-e-tāḳhīr bhī thā
aap aate the magar koī ināñ-gīr bhī thā
tum se bejā hai mujhe apnī tabāhī kā gila
us meñ kuchh shā.iba-e-ḳhūbi-e-taqdīr bhī thā
tū mujhe bhuul gayā ho to patā batlā duuñ
kabhī fitrāk meñ tere koī naḳhchīr bhī thā
qaid meñ hai tire vahshī ko vahī zulf kī yaad
haañ kuchh ik ranj-e-girāñ-bāri-e-zanjīr bhī thā
bijlī ik kauñd ga.ī āñkhoñ ke aage to kyā
baat karte ki maiñ lab-tishna-e-taqrīr bhī thā
yūsuf us ko kahūñ aur kuchh na kahe ḳhair huī
gar bigaḌ baiThe to maiñ lā.iq-e-tāzīr bhī thā
dekh kar ġhair ko ho kyuuñ na kalejā ThanDā
naala kartā thā vale tālib-e-tāsīr bhī thā
peshe meñ aib nahīñ rakhiye na farhād ko naam
ham hī āshufta-saroñ meñ vo javāñ-mīr bhī thā
ham the marne ko khaḌe paas na aayā na sahī
āḳhir us shoḳh ke tarkash meñ koī tiir bhī thā
pakḌe jaate haiñ farishtoñ ke likhe par nā-haq
aadmī koī hamārā dam-e-tahrīr bhī thā
reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'
kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā
hui taKHir to kuchh bais-e-taKHir bhi tha
aap aate the magar koi inan-gir bhi tha
tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gila
us mein kuchh shaiba-e-KHubi-e-taqdir bhi tha
tu mujhe bhul gaya ho to pata batla dun
kabhi fitrak mein tere koi naKHchir bhi tha
qaid mein hai tere wahshi ko wahi zulf ki yaad
han kuchh ek ranj-e-giran-bari-e-zanjir bhi tha
bijli ek kaund gai aankhon ke aage to kya
baat karte ki main lab-tishna-e-taqrir bhi tha
yusuf us ko kahun aur kuchh na kahe KHair hui
gar bigaD baiThe to main laiq-e-tazir bhi tha
dekh kar ghair ko ho kyun na kaleja ThanDa
nala karta tha wale talib-e-tasir bhi tha
peshe mein aib nahin rakhiye na farhad ko nam
hum hi aashufta-saron mein wo jawan-mir bhi tha
hum the marne ko khaDe pas na aaya na sahi
aaKHir us shoKH ke tarkash mein koi tir bhi tha
pakDe jate hain farishton ke likhe par na-haq
aadmi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha
reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'
kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.