hujra-e-zat se bahar to nikal kar dekho
hujra-e-zāt se bāhar to nikal kar dekho
tum kisī dūsre paikar meñ bhī Dhal kar dekho
kyā ajab tum ko hī ye ham-safarī raas aa jaa.e
do qadam hī sahī tum saath to chal kar dekho
haañ ye dastār-e-fazīlat bhī qabā-e-zar bhī
ḳhud ko dekho to ye poshāk badal kar dekho
mausam-e-hijr koī rut hai na kuchh āb-o-havā
ik taqāzā hai ki phir ghar se nikal kar dekho
maat ho jaa.e magar hausla-e-dil ke liye
āḳhirī chaal jo baaqī hai vo chal kar dekho
hujra-e-zat se bahar to nikal kar dekho
tum kisi dusre paikar mein bhi Dhal kar dekho
kya ajab tum ko hi ye ham-safari ras aa jae
do qadam hi sahi tum sath to chal kar dekho
han ye dastar-e-fazilat bhi qaba-e-zar bhi
KHud ko dekho to ye poshak badal kar dekho
mausam-e-hijr koi rut hai na kuchh aab-o-hawa
ek taqaza hai ki phir ghar se nikal kar dekho
mat ho jae magar hausla-e-dil ke liye
aaKHiri chaal jo baqi hai wo chal kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.