hujum-e-dard mila zindagi azab hui
hujūm-e-dard milā zindagī azaab huī
dil o nigāh kī sāzish thī kāmyāb huī
tumhārī hijr-navāzī pe harf aa.egā
hamārī mūnis o hamdam agar sharāb huī
yahāñ to zaḳhm ke pahre biThā.e the ham ne
shamīm-e-zulf yahāñ kaise bāryāb huī
hamāre naam pe gar uñgliyāñ uThīñ to kyā
tumhārī mad.h-o-satā.ish to be-hisāb huī
hazār pursish-e-ġham kī magar na ashk bahe
sabā ne zabt ye dekhā to lā-javāb huī
hujum-e-dard mila zindagi azab hui
dil o nigah ki sazish thi kaamyab hui
tumhaari hijr-nawazi pe harf aaega
hamari munis o hamdam agar sharab hui
yahan to zaKHm ke pahre biThae the hum ne
shamim-e-zulf yahan kaise baryab hui
hamare nam pe gar ungliyan uThin to kya
tumhaari madh-o-sataish to be-hisab hui
hazar pursish-e-gham ki magar na ashk bahe
saba ne zabt ye dekha to la-jawab hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.