hujum-e-gham-zadagan sabr se mukar nahin jae
hujūm-e-ġham-zadagāñ sabr se mukar nahīñ jaa.e
aur ittihām usī bebasī ke sar nahīñ jaa.e
nikalne hī ko hai mahtāb bādaloñ se abhī
ye intizār isī āsare pe mar nahīñ jaa.e
bahut zarūrī diyoñ kā havāoñ se hai bachāo
ki sāz-bāz-e-havas kuchh kamāl kar nahīñ jaa.e
maiñ phuul bāñTne niklūñ to Dar bhī saath phire
lahū se kāsa-e-gul be-qayās bhar nahīñ jaa.e
ye kyā hai aisā ki sihran sī saare jism meñ hai
kueñ meñ aag ke duniyā kahīñ utar nahīñ jaa.e
milī bhī sā.at-e-qurbat to shāḳh chhū na sake
fishār-e-ḳhūn badan meñ kahīñ biphar nahīñ jaa.e
sameTte to haiñ ham laḳht-e-jāñ pe sochte haiñ
havā-e-tund meñ phir se makāñ bikhar nahīñ jaa.e
hujum-e-gham-zadagan sabr se mukar nahin jae
aur ittiham usi bebasi ke sar nahin jae
nikalne hi ko hai mahtab baadalon se abhi
ye intizar isi aasare pe mar nahin jae
bahut zaruri diyon ka hawaon se hai bachao
ki saz-baz-e-hawas kuchh kamal kar nahin jae
main phul banTne niklun to Dar bhi sath phire
lahu se kasa-e-gul be-qayas bhar nahin jae
ye kya hai aisa ki sihran si sare jism mein hai
kuen mein aag ke duniya kahin utar nahin jae
mili bhi saat-e-qurbat to shaKH chhu na sake
fishaar-e-KHun badan mein kahin biphar nahin jae
sameTte to hain hum laKHt-e-jaan pe sochte hain
hawa-e-tund mein phir se makan bikhar nahin jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.