hujum-e-shab mein ghiri raushni ko pahchano
hujūm-e-shab meñ ghirī raushnī ko pahchāno
ajal ke saath laḌo zindagī ko pahchāno
hamesha chaḌh ke nadī ek din utartī hai
zamīñ kī pyaas bujhāo nadī ko pahchāno
shajar kī shāḳh kī gul kī fasurdagī dekho
kalī kalī kī kabhī be-kalī ko pahchāno
kaTā nahīñ kisī koh-e-sitam kā dil ab tak
ḳhirad se kaam lo tesha-garī ko pahchāno
bahāreñ dekh chuke vajd-o-be-ḳhudī kī bahut
na.ī rutoñ meñ gul-e-āgahī ko pahchāno
jafā miTā ke chalo dushmanī kuchal ke baḌho
vafā kī qadr karo dostī ko pahchāno
'hazīñ' shanāḳht ḳhudā kī bashar ke bas meñ nahīñ
yahī bahut hai ki tum aadmī ko pahchāno
hujum-e-shab mein ghiri raushni ko pahchano
ajal ke sath laDo zindagi ko pahchano
hamesha chaDh ke nadi ek din utarti hai
zamin ki pyas bujhao nadi ko pahchano
shajar ki shaKH ki gul ki fasurdagi dekho
kali kali ki kabhi be-kali ko pahchano
kaTa nahin kisi koh-e-sitam ka dil ab tak
KHirad se kaam lo tesha-gari ko pahchano
bahaaren dekh chuke wajd-o-be-KHudi ki bahut
nai ruton mein gul-e-agahi ko pahchano
jafa miTa ke chalo dushmani kuchal ke baDho
wafa ki qadr karo dosti ko pahchano
'hazin' shanaKHt KHuda ki bashar ke bas mein nahin
yahi bahut hai ki tum aadmi ko pahchano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.