Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hujum-e-shahr se hai ab talash-e-virana

Salik Lakhnavi

hujum-e-shahr se hai ab talash-e-virana

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    hujūm-e-shahr se hai ab talāsh-e-vīrāna

    ḳhirad bhiiḌ se ghabrā gayā hai dīvāna

    kushāda zarf hai kitnī ye bazm-e-rindāna

    janāb-e-shaiḳh ko samjhā nahīñ hai begāna

    kitāb-e-zīst hai majmūa ik fasānoñ

    usī meñ hai kahīñ merā bhī ek afsāna

    pilā kuchh aur ai saaqī ki hosh hai ab tak

    kisī yaad meñ haa.il hai shor-e-mai-ḳhāna

    jise bhī dekhiye mātam-guzār-e-qismat hai

    havas ne kar diyā duniyā ko ik azā-ḳhāna

    hamīñ se mai-kada 'sālik' hamīñ raheñ pyāse

    chalo uTho ki badal deñ nizām-e-mai-ḳhāna

    hujum-e-shahr se hai ab talash-e-virana

    KHirad ki bhiD se ghabra gaya hai diwana

    kushada zarf hai kitni ye bazm-e-rindana

    janab-e-shaiKH ko samjha nahin hai begana

    kitab-e-zist hai majmua ek fasanon ka

    usi mein hai kahin mera bhi ek afsana

    pila kuchh aur ai saqi ki hosh hai ab tak

    kisi ki yaad mein hail hai shor-e-mai-KHana

    jise bhi dekhiye matam-guzar-e-qismat hai

    hawas ne kar diya duniya ko ek aza-KHana

    hamin se mai-kada 'salik' hamin rahen pyase

    chalo uTho ki badal den nizam-e-mai-KHana

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now