hujum-e-tamanna se lachaar hain hum
hujūm-e-tamannā se lāchār haiñ ham
fareb-e-jahāñ meñ giraftār haiñ ham
hamāre lahū se ye maqtal sajā hai
magar is kahānī meñ ik baar haiñ ham
dil-e-muztarib kī ḳhudārā suno kuchh
nigāh-e-sitam meñ kahāñ yaar haiñ ham
hamārī ragoñ meñ hai ḳhuuñ inqilābī
shab-e-zulm ke aage dīvār haiñ ham
na ā.eñge ham dastaras meñ tumhārī
zamīñ āsmāñ se bahut paar haiñ ham
hamāre hai dam se charāġhāñ jahāñ meñ
ḳhudā kī ḳhudā.ī kā shahkār haiñ ham
kisī hausle kī zarūrat nahīñ hai
agarche hazīmat se do-chār haiñ ham
numūd-e-sahar kī hai ummīd ham se
silā-e-suḳhan ke bhī sālār haiñ ham
rahegā hamārā sadā naam 'ambar'
suno zindagī ke vo āsār haiñ ham
hujum-e-tamanna se lachaar hain hum
fareb-e-jahan mein giraftar hain hum
hamare lahu se ye maqtal saja hai
magar is kahani mein ek bar hain hum
dil-e-muztarib ki KHudara suno kuchh
nigah-e-sitam mein kahan yar hain hum
hamari ragon mein hai KHun inqilabi
shab-e-zulm ke aage diwar hain hum
na aaenge hum dastaras mein tumhaari
zamin aasman se bahut par hain hum
hamare hai dam se charaghan jahan mein
KHuda ki KHudai ka shahkar hain hum
kisi hausle ki zarurat nahin hai
agarche hazimat se do-chaar hain hum
numud-e-sahar ki hai ummid hum se
sila-e-suKHan ke bhi salar hain hum
rahega hamara sada nam 'ambar'
suno zindagi ke wo aasar hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.