hujum-e-yas mein jina bhi ek azab hua
hujūm-e-yās meñ jiinā bhī ik 'azāb huā
yahī huā ki mohabbat meñ dil ḳharāb huā
chhupā huā hai jo chehra hayā ke dāman meñ
na koī ā.īna us husn kā javāb huā
baham ulajhte rahe shaiḳh-o-barhaman ab tak
jo ham uThe to zamāne meñ inqalāb huā
tumhāre hukm pe hastī miTā chuke ham to
magar hamārī vafāoñ kā kyā javāb huā
mirī navā se larazne lagā nizām-e-kohan
mirā payām 'ziyā' vaj.h-e-inqalāb huā
hujum-e-yas mein jina bhi ek 'azab hua
yahi hua ki mohabbat mein dil KHarab hua
chhupa hua hai jo chehra haya ke daman mein
na koi aaina us husn ka jawab hua
baham ulajhte rahe shaiKH-o-barhaman ab tak
jo hum uThe to zamane mein inqalab hua
tumhaare hukm pe hasti miTa chuke hum to
magar hamari wafaon ka kya jawab hua
meri nawa se larazne laga nizam-e-kohan
mera payam 'ziya' wajh-e-inqalab hua
- Book : Shab Charagh (Pg. 91)
- Author : Bakhtiyar Ziya
- Publication : Markaz-e-adab (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.