hukm jari hua KHamoshi se
hukm jaarī huā ḳhamoshī se
maiñ bhī 'hāvī' uThā ḳhamoshī se
shor karte rahe chaman meñ tair
phuul sab kah gayā ḳhamoshī se
chāñd par bhūñkte rahe kutte
chāñd hañstā rahā ḳhamoshī se
bārhā kaaT lī zabāñ merī
bas maiñ jaltā rahā ḳhamoshī se
jis se raunaq thī terī mahfil meñ
bujh gayā vo diyā ḳhamoshī se
hukm jari hua KHamoshi se
main bhi 'hawi' uTha KHamoshi se
shor karte rahe chaman mein tair
phul sab kah gaya KHamoshi se
chand par bhunkte rahe kutte
chand hansta raha KHamoshi se
barha kaT li zaban meri
bas main jalta raha KHamoshi se
jis se raunaq thi teri mahfil mein
bujh gaya wo diya KHamoshi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.