hukmaran jab se huin basti pe afwahen wahan
hukmarāñ jab se huiiñ bastī pe afvāheñ vahāñ
din Dhale hī bain kartī haiñ ajab rāteñ vahāñ
ik ġhurūb-e-be-nishāñ kī samt raste par huuñ maiñ
ḳhauf ye darpesh hoñgī kaisī duniyā.eñ vahāñ
bār-hā dekhī hai un kūchoñ ne shab-mastī mirī
aaj bhī ik ghar ke bām-o-dar shanāsā haiñ vahāñ
kyā tujhe mismārī-e-dil kī ḳhabar koī na thī
kis liye bhejīñ na tū ne phir abābīleñ vahāñ
ek daf.a tū yahāñ aa kar mujhe hairān kar
kyā zarūrī hai ki tujh se milne aa.uuñ maiñ vahāñ
hukmaran jab se huin basti pe afwahen wahan
din Dhale hi bain karti hain ajab raaten wahan
ek ghurub-e-be-nishan ki samt raste par hun main
KHauf ye darpesh hongi kaisi duniyaen wahan
bar-ha dekhi hai un kuchon ne shab-masti meri
aaj bhi ek ghar ke baam-o-dar shanasa hain wahan
kya tujhe mismari-e-dil ki KHabar koi na thi
kis liye bhejin na tu ne phir ababilen wahan
ek dafa tu yahan aa kar mujhe hairan kar
kya zaruri hai ki tujh se milne aaun main wahan
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 46)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.