hunar ki kar-gah se shai ajab nikal aae
hunar kī kār-gah se shai ajab nikal aa.e
maiñ din banātā rahūñ aur vo shab nikal aa.e
dalīl apnī jagah par ye ain-mumkin hai
ki be-sabab kā bhī koī sabab nikal aa.e
koī sitāra thā hairat bharā nazāra thā
gharoñ meñ so.e hue log sab nikal aa.e
nikalnā hai isī shab māh-e-vasl ne lekin
yaqīñ se kah nahīñ saktā ki kab nikal aa.e
maiñ dekhne meñ bahut mahv thā tirī tasvīr
ki chūmne ko mujhe tere lab nikal aa.e
ai be-niyāz jahāñ kuchh to ġhaur kar shāyad
kahīñ dabī huī koī talab nikal aa.e
burī tarah se haiñ din dhund kī hirāsat meñ
kisī taraf se zarā dhuup ab nikal aa.e
maza to jab hai udāsī kī shaam ho 'shāhīñ'
aur us ke biich se shām-e-tarab nikal aa.e
hunar ki kar-gah se shai ajab nikal aae
main din banata rahun aur wo shab nikal aae
dalil apni jagah par ye ain-mumkin hai
ki be-sabab ka bhi koi sabab nikal aae
koi sitara tha hairat bhara nazara tha
gharon mein soe hue log sab nikal aae
nikalna hai isi shab mah-e-wasl ne lekin
yaqin se kah nahin sakta ki kab nikal aae
main dekhne mein bahut mahw tha teri taswir
ki chumne ko mujhe tere lab nikal aae
ai be-niyaz jahan kuchh to ghaur kar shayad
kahin dabi hui koi talab nikal aae
buri tarah se hain din dhund ki hirasat mein
kisi taraf se zara dhup ab nikal aae
maza to jab hai udasi ki sham ho 'shahin'
aur us ke bich se sham-e-tarab nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.