hunar-wari ko na shoala na rakh dagh bana
hunar-varī ko na sho.ala na raakh daaġh banā
jo dil meñ lau hai use sher meñ charāġh banā
vahīñ se ishq-e-musalsal se aa.egī ḳhushbū
alag-thalag hī sahī koī apnā baaġh banā
parinde baiThe hue the shajar ke pahlū meñ
ki shor-o-ġhul kā sabab ek ġhol-e-zāġh banā
banā rahā huuñ maiñ ik naqsh terī chāhat kā
kabhī to dil ye banā hai kabhī dimāġh banā
usī ke naam kī taḳhtī ne rahnumā.ī kī
vahī to gum-shuda 'manzar' kā ik surāġh banā
hunar-wari ko na shoala na rakh dagh bana
jo dil mein lau hai use sher mein charagh bana
wahin se ishq-e-musalsal se aaegi KHushbu
alag-thalag hi sahi koi apna bagh bana
parinde baiThe hue the shajar ke pahlu mein
ki shor-o-ghul ka sabab ek ghol-e-zagh bana
bana raha hun main ek naqsh teri chahat ka
kabhi to dil ye bana hai kabhi dimagh bana
usi ke nam ki taKHti ne rahnumai ki
wahi to gum-shuda 'manzar' ka ek suragh bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.