husn be-parda hai jalwa aam hai
husn be-parda hai jalva aam hai
dekhnā ahl-e-nazar kā kaam hai
kuchh nahīñ hotā ba-juz hukm-e-ḳhudā
aadmī to muft meñ badnām hai
ab ḳhudā baḳhshe na baḳhshe kyā karūñ
dil to merā banda-e-asnām hai
dekhiye chaliye nazāre raah ke
ye safar bas aur do ik gaam hai
ham-nashīno ab to mere vāste
zindagī TuuTā huā ik jaam hai
dard bhī kuchh dab gayā hai dil ke saath
'nūr' is karvaT bahut ārām hai
husn be-parda hai jalwa aam hai
dekhna ahl-e-nazar ka kaam hai
kuchh nahin hota ba-juz hukm-e-KHuda
aadmi to muft mein badnam hai
ab KHuda baKHshe na baKHshe kya karun
dil to mera banda-e-asnam hai
dekhiye chaliye nazare rah ke
ye safar bas aur do ek gam hai
ham-nashino ab to mere waste
zindagi TuTa hua ek jam hai
dard bhi kuchh dab gaya hai dil ke sath
'nur' is karwaT bahut aaram hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.