husn-e-be-parda ki garmi se kaleja pakka
husn-e-be-parda kī garmī se kaleja pakkā
teġh kī aañch se ghar meñ mire khānā pakkā
jins-e-dil le ke na jā.ūñ maiñ kisī aur ke paas
aap bai.āna agar dījiye pakkā pakkā
har tarah haath uThānā hai jahāñ se mushkil
baiTh rahne ko bhī ghar chāhiye kachchā pakkā
hai vo shā.ir jo paḌhe bazm-e-suḳhan meñ ash.ār
mo'atabar hai jo kachehrī meñ ho chehra pakkā
ḳhām-e-taba.ī se tumhāre hai bahut tañg 'asīr'
kījiye vasl kā iqrār to pakkā pakkā
husn-e-be-parda ki garmi se kaleja pakka
tegh ki aanch se ghar mein mere khana pakka
jins-e-dil le ke na jaun main kisi aur ke pas
aap baiana agar dijiye pakka pakka
har tarah hath uThana hai jahan se mushkil
baiTh rahne ko bhi ghar chahiye kachcha pakka
hai wo shair jo paDhe bazm-e-suKHan mein ashaar
mo'atabar hai jo kachehri mein ho chehra pakka
KHam-e-tabai se tumhaare hai bahut tang 'asir'
kijiye wasl ka iqrar to pakka pakka
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 79)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.