husn-e-fitrat ki aabru mujhse
husn-e-fitrat kī aabrū mujh se
aab o gil meñ hai rañg-o-bū mujh se
mere dam se binā-e-mai-ḳhāna
hasti-e-shīsha-o-subū mujh se
mujh se ātish-kadoñ meñ soz o gudāz
ḳhānqāhoñ meñ haa.e o hū mujh se
shabnam-e-nā-tavāñ sahī lekin
is gulistāñ meñ hai numū mujh se
ik tigāpūe dā.imī hai hayāt
kah rahī hai ye aabjū mujh se
tāqat-e-jumbish-e-nazar bhī nahīñ
ab ho kyā sharh-e-ārzū mujh se
husn-e-fitrat ki aabru mujh se
aab o gil mein hai rang-o-bu mujh se
mere dam se bina-e-mai-KHana
hasti-e-shisha-o-subu mujh se
mujh se aatish-kadon mein soz o gudaz
KHanqahon mein hae o hu mujh se
shabnam-e-na-tawan sahi lekin
is gulistan mein hai numu mujh se
ek tigapue daimi hai hayat
kah rahi hai ye aabju mujh se
taqat-e-jumbish-e-nazar bhi nahin
ab ho kya sharh-e-arzu mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.