husn-e-ghazal bad-hali mein
husn-e-ġhazal bad-halī meñ
saare dīvāñ naalī meñ
kaun sunegā merī baat
sab to magan haiñ taalī meñ
adnā a.alā sab ḳhush haiñ
gun haiñ janāb-e-ālī meñ
phuul khile haiñ hoñToñ par
ḳhushbū jism kī Daalī meñ
lambī zulfeñ sāñvlā jism
husn to hai bañgālī meñ
ġhazleñ hotī haiñ 'āsim'
maiñ jab Dūbūñ pyālī meñ
husn-e-ghazal bad-hali mein
sare diwan nali mein
kaun sunega meri baat
sab to magan hain tali mein
adna aala sab KHush hain
gun hain janab-e-ali mein
phul khile hain honTon par
KHushbu jism ki Dali mein
lambi zulfen sanwla jism
husn to hai bangali mein
ghazlen hoti hain 'asim'
main jab Dubun pyali mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.