husn-e-jaanan-e-motabar usko
husn-e-jānān-e-mo'tabar us ko
lag na jaa.e kahīñ nazar us ko
ashk palkoñ pe ḳhushk kartā huuñ
bhej kar ḳhvāb-e-muḳhtasar us ko
aa.ine tak ne lī hai añgḌā.ī
rū-barū apne dekh kar us ko
pūchhiye mujh se mā'nī-e-vahshat
maiñ ne dekhā hai nange sar us ko
us ke hone se dil dhaḌaktā hai
dekh dil se utaar kar us ko
husn-e-jaanan-e-mo'tabar us ko
lag na jae kahin nazar us ko
ashk palkon pe KHushk karta hun
bhej kar KHwab-e-muKHtasar us ko
aaine tak ne li hai angDai
ru-baru apne dekh kar us ko
puchhiye mujh se ma'ni-e-wahshat
main ne dekha hai nange sar us ko
us ke hone se dil dhaDakta hai
dekh dil se utar kar us ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.