husn-e-shah-e-laulak jo chamka shab-e-mearaj
husn-e-shah-e-laulāk jo chamkā shab-e-me.arāj
jalvoñ se nabī sub.h-e-tajallī shab-e-me.arāj
kyā ḳhuub jamā vasl kā naqsha shab-e-me.arāj
matlūb nayā tālib-e-shaidā shab-e-me.arāj
paayā na taqarrub kisī maḳhlūq ne aisā
jaisā ki milā shaah ko rutba shab-e-me.arāj
tālib thā ḳhudā banda-e-mahbūb kā apne
mehmān-e-ḳhudā nūr-e-ḳhudā thā shab-e-me.arāj
ganjīna-e-rahmat se habīb-e-azalī ko
kyā kyā nahīñ allāh ne baḳhshā shab-e-me.arāj
tā-der rahī tālib-o-mtlūb meñ qurbat
dil bhar ke maza vasl kā luuTā shab-e-me.arāj
kānoñ ne sunā jo kabhī kānoñ na sunā thā
āñkhoñ ne na dekhā thā jo dekhā shab-e-me.arāj
aalam ko kiyā mast mai-e-husn-e-azal ne
be-kār rahā sāġhar-o-mīnā shab-e-me.arāj
nālain mubārak kā huā faḳhr jo hāsil
bas jhuum gayā arsh-e-mua.allā shab-e-me.arāj
allāh kā dīdār mohammad kī shafā.at
'mā.il' ko milī hashr ke din yā shab-e-me.arāj
husn-e-shah-e-laulak jo chamka shab-e-mearaj
jalwon se nabi subh-e-tajalli shab-e-mearaj
kya KHub jama wasl ka naqsha shab-e-mearaj
matlub naya talib-e-shaida shab-e-mearaj
paya na taqarrub kisi maKHluq ne aisa
jaisa ki mila shah ko rutba shab-e-mearaj
talib tha KHuda banda-e-mahbub ka apne
mehman-e-KHuda nur-e-KHuda tha shab-e-mearaj
ganjina-e-rahmat se habib-e-azali ko
kya kya nahin allah ne baKHsha shab-e-mearaj
ta-der rahi talib-o-mtlub mein qurbat
dil bhar ke maza wasl ka luTa shab-e-mearaj
kanon ne suna jo kabhi kanon na suna tha
aankhon ne na dekha tha jo dekha shab-e-mearaj
aalam ko kiya mast mai-e-husn-e-azal ne
be-kar raha saghar-o-mina shab-e-mearaj
nalain mubarak ka hua faKHr jo hasil
bas jhum gaya arsh-e-mualla shab-e-mearaj
allah ka didar mohammad ki shafaat
'mail' ko mili hashr ke din ya shab-e-mearaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.