husn-e-surat dekh kar rang-e-tabiat dekh kar
husn-e-sūrat dekh kar rañg-e-tabī.at dekh kar
mahv-e-hairat huuñ savād-e-bazm-e-ġhurbat dekh kar
mujh se pūchhe raaz kī bāteñ mujhe ma.alūm haiñ
kyuuñ pareshāñ ho koī nairañg-e-fitrat dekh kar
vāqi.a hai vāqi.a ahl-e-nazar se pūchhiye
husn bhī hairat meñ hai shān-e-mohabbat dekh kar
tez-gāmī muqtazā-e-josh-e-ulfat hī sahī
lekin ai rahrav nuqūsh-e-rāh-e-ulfat dekh kar
ai vatan sub.h-e-vatan shām-e-vatan ahl-e-vatan
yaad aatī hai tumhārī dasht-e-ġhurbat dekh kar
mere saaqī tere qurbāñ kyā kahūñ kis se kahūñ
zarf-e-mai-kash dekh kar rañg-e-tabī.at dekh kar
be-ḳhudī meñ bhī ḳhayāl-e-husn-e-ḳhuddārī rahe
naġhma-zan ho 'rāz' rañg-e-bazm-e-ġhurbat dekh kar
husn-e-surat dekh kar rang-e-tabiat dekh kar
mahw-e-hairat hun sawad-e-bazm-e-ghurbat dekh kar
mujh se puchhe raaz ki baaten mujhe malum hain
kyun pareshan ho koi nairang-e-fitrat dekh kar
waqia hai waqia ahl-e-nazar se puchhiye
husn bhi hairat mein hai shan-e-mohabbat dekh kar
tez-gami muqtaza-e-josh-e-ulfat hi sahi
lekin ai rahraw nuqush-e-rah-e-ulfat dekh kar
ai watan subh-e-watan sham-e-watan ahl-e-watan
yaad aati hai tumhaari dasht-e-ghurbat dekh kar
mere saqi tere qurban kya kahun kis se kahun
zarf-e-mai-kash dekh kar rang-e-tabiat dekh kar
be-KHudi mein bhi KHayal-e-husn-e-KHuddari rahe
naghma-zan ho 'raaz' rang-e-bazm-e-ghurbat dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.