husn-e-taza kanwal ke jaisa hai
husn-e-tāza kañval ke jaisā hai
aur chehra ġhazal ke jaisā hai
rang TuuTī huī javānī kā
ek ujḌe mahal ke jaisā hai
ahl-e-mehnat kī mehnatoñ kā sila
aaj miTTī ke phal ke jaisā hai
zulm par aah bhī nahīñ karte
apnā jiinā ajal ke jaisā hai
vo zamāna thā amn kā dushman
ye zamāna bhī kal ke jaisā hai
kaam hotā hai baat par us kī
azm us kā amal ke jaisā hai
apne māhaul kī ġhalāzat meñ
vo shagufta kañval ke jaisā hai
aaj ke rahbaroñ kā har va.ada
dekhnā guzre pal ke jaisā hai
mulk meñ kyā fasādiyoñ kā hal
aaj cancer ke hal ke jaisā hai
merī uljhan kā silsila shāyad
terī zulfoñ ke bal ke jaisā hai
kis ko manzil milegī ai 'arshad'
azm kis kā amal ke jaisā hai
husn-e-taza kanwal ke jaisa hai
aur chehra ghazal ke jaisa hai
rang TuTi hui jawani ka
ek ujDe mahal ke jaisa hai
ahl-e-mehnat ki mehnaton ka sila
aaj miTTi ke phal ke jaisa hai
zulm par aah bhi nahin karte
apna jina ajal ke jaisa hai
wo zamana tha amn ka dushman
ye zamana bhi kal ke jaisa hai
kaam hota hai baat par us ki
azm us ka amal ke jaisa hai
apne mahaul ki ghalazat mein
wo shagufta kanwal ke jaisa hai
aaj ke rahbaron ka har wada
dekhna guzre pal ke jaisa hai
mulk mein kya fasadiyon ka hal
aaj cancer ke hal ke jaisa hai
meri uljhan ka silsila shayad
teri zulfon ke bal ke jaisa hai
kis ko manzil milegi ai 'arshad'
azm kis ka amal ke jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.