husn hai is bar pure jalwa-samani ke sath
husn hai is baar puure jalva-sāmānī ke saath
aa.ine TuuTe haiñ pahlī baar hairānī ke saath
aur hī chehra nikāleñ surḳhiyāñ dhānī ke saath
ab ke sāvan kaash barse aag bhī paanī ke saath
kab mire sar kī zarūrat pesh aa jaa.e use
kūcha kūcha phir rahā huuñ dushman-e-jānī ke saath
raat aatī hai to tanhā.ī lipaT kar jaane kyoñ
ro diyā kartī hai mere ghar kī vīrānī ke saath
muskurāne kā hunar sīkhā hai jab se dosto
mushkiloñ kā hal nikal aayā hai āsānī ke saath
mere hoñToñ par sisaktī ḳhāmushī ko dekh kar
har parinda pesh aatā hai ḳhush-ilhānī ke saath
ġham kī duniyā bhī bil-āḳhir luT ga.ī ḳhushiyoñ ke baad
hādisa ye bhī huā 'parvez'-rahmānī ke saath
husn hai is bar pure jalwa-samani ke sath
aaine TuTe hain pahli bar hairani ke sath
aur hi chehra nikalen surKHiyan dhani ke sath
ab ke sawan kash barse aag bhi pani ke sath
kab mere sar ki zarurat pesh aa jae use
kucha kucha phir raha hun dushman-e-jaani ke sath
raat aati hai to tanhai lipaT kar jaane kyon
ro diya karti hai mere ghar ki virani ke sath
muskurane ka hunar sikha hai jab se dosto
mushkilon ka hal nikal aaya hai aasani ke sath
mere honTon par sisakti KHamushi ko dekh kar
har parinda pesh aata hai KHush-ilhani ke sath
gham ki duniya bhi bil-aKHir luT gai KHushiyon ke baad
hadisa ye bhi hua 'parwez'-rahmani ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.