husn hai jaan-e-ghazal aur ishq iman-e-ghazal
husn hai jaan-e-ghazal aur ishq iman-e-ghazal
Tilok Chand Mahroom
MORE BYTilok Chand Mahroom
husn hai jān-e-ġhazal aur ishq īmān-e-ġhazal
kā.enāt-e-sher meñ hai ḳhuub sāmān-e-ġhazal
sach kahā hai āftāb aamad dalīl-e-āftāb
juz ġhazal dekhā nahīñ hai aur unvān-e-ġhazal
rind hai sāġhar ba-dast aur pārsā mast-e-alast
saya-afgan sar pe donoñ ke hai dāmān-e-ġhazal
talḳhī-e-pand-o-nasā.eh bhī gavārā ho ga.ī
hazrat-e-vā.iz bhī haiñ mamnūn-e-ehsān-e-ġhazal
naġhma-ārā.ī pe hotā hai jo maa.il falsafī
vo bhī khichtā hai sū-e-sahn-e-gulistān-e-ġhazal
naġhz-goī meñ adīm-ul-misl haiñ 'josh'-o-'firāq'
pahle 'hasrat' thā 'jigar' hai aaj sultān-e-ġhazal
go nahīñ hāsil ġhazal-goī meñ mujh ko dastaras
maiñ bhī huuñ 'mahrūm' dil se qā.il-e-shān-e-ġhazal
husn hai jaan-e-ghazal aur ishq iman-e-ghazal
kaenat-e-sher mein hai KHub saman-e-ghazal
sach kaha hai aaftab aamad dalil-e-aftab
juz ghazal dekha nahin hai aur unwan-e-ghazal
rind hai saghar ba-dast aur parsa mast-e-alast
saya-afgan sar pe donon ke hai daman-e-ghazal
talKHi-e-pand-o-nasaeh bhi gawara ho gai
hazrat-e-waiz bhi hain mamnun-e-ehsan-e-ghazal
naghma-arai pe hota hai jo mail falsafi
wo bhi khichta hai su-e-sahn-e-gulistan-e-ghazal
naghz-goi mein adim-ul-misl hain 'josh'-o-'firaq'
pahle 'hasrat' tha 'jigar' hai aaj sultan-e-ghazal
go nahin hasil ghazal-goi mein mujh ko dastaras
main bhi hun 'mahrum' dil se qail-e-shan-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.