husn hire ki kani ho jaise
husn hiire kī kanī ho jaise
aur mirī jaañ pe banī ho jaise
terī chitvan ke ajab tevar haiñ
sar pe talvār tanī ho jaise
reza reza hue mīnā-o-ayāġh
riñd-o-sāqī meñ Thanī ho jaise
apnī galiyoñ meñ haiñ yuuñ āvāra
ki ġharīb-ul-vatanī ho jaise
har musāfir tire kūche ko chalā
us taraf chhāñv ghanī ho jaise
terī qurbat kī ḳhūmār-āgīnī
rut sharāboñ meñ sanī ho jaise
ye kashākash kī mai-e-mard-afgan
terī palkoñ se chhanī ho jaise
husn hire ki kani ho jaise
aur meri jaan pe bani ho jaise
teri chitwan ke ajab tewar hain
sar pe talwar tani ho jaise
reza reza hue mina-o-ayagh
rind-o-saqi mein Thani ho jaise
apni galiyon mein hain yun aawara
ki gharib-ul-watani ho jaise
har musafir tere kuche ko chala
us taraf chhanw ghani ho jaise
teri qurbat ki KHumar-agini
rut sharabon mein sani ho jaise
ye kashakash ki mai-e-mard-afgan
teri palkon se chhani ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.