husn ho ishq ka KHugar mujhe rahne dete
husn ho ishq kā ḳhūgar mujhe rahne dete
tum ho manzar pas-e-manzar mujhe rahne dete
mujh se tahzīb-e-riyā-kār kī taz.īñ kyuuñ kī
nā-tarāshīda thā patthar mujhe rahne dete
maiñ ne kab chāhā ki qaid-e-dar-o-dīvār mile
maiñ to āvāra huuñ beghar mujhe rahne dete
vaqt o hālāt se ḳhvāhish thī faqat chand hī roz
qaid-e-lamhāt se bāhar mujhe rahne dete
maiñ ne asnām tarāshe to bigāḌā kyā thā
tum barāhīm the 'āzar' mujhe rahne dete
husn ho ishq ka KHugar mujhe rahne dete
tum ho manzar pas-e-manzar mujhe rahne dete
mujh se tahzib-e-riya-kar ki tazin kyun ki
na-tarashida tha patthar mujhe rahne dete
main ne kab chaha ki qaid-e-dar-o-diwar mile
main to aawara hun beghar mujhe rahne dete
waqt o haalat se KHwahish thi faqat chand hi roz
qaid-e-lamhat se bahar mujhe rahne dete
main ne asnam tarashe to bigaDa kya tha
tum barahim the 'azar' mujhe rahne dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.