husn jab KHugar-e-jafa na raha
husn jab ḳhūgar-e-jafā na rahā
phir mohabbat meñ kuchh mazā na rahā
mujh ko jab terā aasrā na rahā
dil meñ phir koī mudda.ā na rahā
kaisī be-dard ho ga.ī duniyā
ek bhī dard-āshnā na rahā
ḳhaak un se rakhūñ umīd-e-karam
jab sitam kā bhī aasrā na rahā
apne hāl-e-tabāh ke sadqe
āshnā bhī to āshnā na rahā
saarī duniyā hai be-vafā 'fayyāz'
ab yahāñ koī bā-vafā na rahā
husn jab KHugar-e-jafa na raha
phir mohabbat mein kuchh maza na raha
mujh ko jab tera aasra na raha
dil mein phir koi muddaa na raha
kaisi be-dard ho gai duniya
ek bhi dard-ashna na raha
KHak un se rakhun umid-e-karam
jab sitam ka bhi aasra na raha
apne haal-e-tabah ke sadqe
aashna bhi to aashna na raha
sari duniya hai be-wafa 'fayyaz'
ab yahan koi ba-wafa na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.