husn ka tazkira jamal ka zikr
husn kā tazkira jamāl kā zikr
kījiye us ke ḳhadd-o-ḳhāl kā zikr
ḳhush-adā aur ḳhush-ḳhisāl kā zikr
husn kā husn ke kamāl kā zikr
khīñchiye naqsha us kī qāmat kā
yā'nī ho sar-tā-pā jamāl kā zikr
us kī āñkhoñ kā tazkira kiije
chhoḌiye dasht ke ġhazāl kā zikr
shab-e-furqat kā ek ik lamha
kartā hai us ke bāl-bāl kā zikr
ek ik naqsh aisā mauzūñ hai
ḳhatm hai us pe e'tidāl kā zikr
kahāñ se lā.ūñ vo kalām ki ho
jis se us husn-e-be-misāl kā zikr
dil kisī taur 'ishq se na rukā
'aql kartī rahī ma.aal kā zikr
ek pal meñ simaT ga.ī hai ziist
kyā kare koī māh-o-sāl kā zikr
lazzat-e-vasl zaḳhm-e-hijr se hai
hijr na.iiñ ho to kyā visāl kā zikr
husn ka tazkira jamal ka zikr
kijiye us ke KHadd-o-KHal ka zikr
KHush-ada aur KHush-KHisal ka zikr
husn ka husn ke kamal ka zikr
khinchiye naqsha us ki qamat ka
ya'ni ho sar-ta-pa jamal ka zikr
us ki aankhon ka tazkira kije
chhoDiye dasht ke ghazal ka zikr
shab-e-furqat ka ek ek lamha
karta hai us ke baal-baal ka zikr
ek ek naqsh aisa mauzun hai
KHatm hai us pe e'tidal ka zikr
kahan se laun wo kalam ki ho
jis se us husn-e-be-misal ka zikr
dil kisi taur 'ishq se na ruka
'aql karti rahi maal ka zikr
ek pal mein simaT gai hai zist
kya kare koi mah-o-sal ka zikr
lazzat-e-wasl zaKHm-e-hijr se hai
hijr nain ho to kya visal ka zikr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.