husn ke dil mein jagah pate hi diwana bane
husn ke dil meñ jagah paate hī dīvāna bane
ham abhī raaz bane hī the ki afsāna bane
kah diyā hai ki milo ham se to yaksū ho kar
ab nibhe yā na nibhe un se bane yā na bane
aaj vo bazm meñ ḳhud sham.a bane baiThe haiñ
hai koī mudda.ī-e-soz jo parvāna bane
dil-e-āzurda hai labrez-e-hadīs-e-ġham-e-ishq
maiñ agar chāhūñ to har saañs ik afsāna bane
kitne dīvāne mohabbat meñ miTe haiñ 'sīmāb'
jamā kī jaa.e jo ḳhaak un kī to vīrāna bane
husn ke dil mein jagah pate hi diwana bane
hum abhi raaz bane hi the ki afsana bane
kah diya hai ki milo hum se to yaksu ho kar
ab nibhe ya na nibhe un se bane ya na bane
aaj wo bazm mein KHud shama bane baiThe hain
hai koi muddai-e-soz jo parwana bane
dil-e-azurda hai labrez-e-hadis-e-gham-e-ishq
main agar chahun to har sans ek afsana bane
kitne diwane mohabbat mein miTe hain 'simab'
jama ki jae jo KHak un ki to virana bane
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 257)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.