Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ke ehtiram ne mara

Jigar Moradabadi

husn ke ehtiram ne mara

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

    husn ke ehtirām ne maarā

    ishq be-nañg-o-nām ne maarā

    vāda-e-nā-tamām ne maarā

    roz sub.h o shaam ne maarā

    larzish-e-dast-e-shauq aah na pūchh

    laġhzish-e-nīm-gām ne maarā

    ishq sādgī to ek taraf

    shauq ke ehtimām ne maarā

    allāh allāh nafas aamad o shud

    is payām o salām ne maarā

    ishq martā na apnī maut se aah

    āsshiqān-e-karām ne maarā

    kaash vo umr-e-ḳhizr ban jaa.e

    jin ḳhayālāt-e-ḳhām ne maarā

    maiñ nahīñ bismil-e-ḳhayyām 'jigar'

    hāfiz-e-ḳhush-kalām ne maarā

    husn ke ehtiram ne mara

    ishq be-nang-o-nam ne mara

    wada-e-na-tamam ne mara

    roz ki subh o sham ne mara

    larzish-e-dast-e-shauq aah na puchh

    laghzish-e-nim-gam ne mara

    ishq ki sadgi to ek taraf

    shauq ke ehtimam ne mara

    allah allah nafas ki aamad o shud

    is payam o salam ne mara

    ishq marta na apni maut se aah

    aasshiqan-e-karam ne mara

    kash wo umr-e-KHizr ban jae

    jin KHayalat-e-KHam ne mara

    main nahin bismil-e-KHayyam 'jigar'

    hafiz-e-KHush-kalam ne mara

    RECITATIONS

    Khalid Mubashshir

    Khalid Mubashshir,

    Khalid Mubashshir

    husn ke ehtiram ne mara Khalid Mubashshir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now