husn ke raaz-e-nihan sharh-e-bayan tak pahunche
husn ke raaz-e-nihan sharh-e-bayan tak pahunche
Mohammad Deen Taseer
MORE BYMohammad Deen Taseer
husn ke rāz-e-nihāñ sharh-e-bayāñ tak pahuñche
aañkh se dil meñ ga.e dil se zabāñ tak pahuñche
dil ne āñkhoñ se kahī āñkhoñ ne dil sī kah dī
baat chal niklī hai ab dekheñ kahāñ tak pahuñche
ishq pahle hī qadam par hai yaqīñ se vāsil
intihā aql kī ye hai ki gumāñ tak pahuñche
ka.aba-o-dair meñ to log haiñ āte-jāte
vo na lauTe jo dar-e-pīr-e-muġhāñ tak pahuñche
aañkh se aañkh kahe dil se hoñ dil kī bāteñ
vaa.e vo arz-e-tamannā jo zabāñ tak pahuñche
husn ke raaz-e-nihan sharh-e-bayan tak pahunche
aankh se dil mein gae dil se zaban tak pahunche
dil ne aankhon se kahi aankhon ne dil si kah di
baat chal nikli hai ab dekhen kahan tak pahunche
ishq pahle hi qadam par hai yaqin se wasil
intiha aql ki ye hai ki guman tak pahunche
kaba-o-dair mein to log hain aate-jate
wo na lauTe jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche
aankh se aankh kahe dil se hon dil ki baaten
wae wo arz-e-tamanna jo zaban tak pahunche
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 194)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.