husn KHushbu payam kuchh bhi na thi
husn ḳhushbū payām kuchh bhī na thī
zindagī mere naam kuchh bhī na thī
rañg baḳhshe haiñ terī qurbat ne
varna shahroñ kī shaam kuchh bhī na thī
un kī maḳhsūs ik adā ke sivā
vaj.h-e-tark-e-salām kuchh bhī na thī
zikr hī se tire ujālā thā
sham.a-e-bazm-e-kalām kuchh bhī na thī
aadmī ko nasha thā rūhānī
pahle tauqīr-e-jām kuchh bhī na thī
jaise sahrā kī ho sadā koī
qadr-e-arz-e-avām kuchh bhī na thī
dil-kushā dard ke sivā 'asrār'
vo judā.ī kī shaam kuchh bhī na thī
husn KHushbu payam kuchh bhi na thi
zindagi mere nam kuchh bhi na thi
rang baKHshe hain teri qurbat ne
warna shahron ki sham kuchh bhi na thi
un ki maKHsus ek ada ke siwa
wajh-e-tark-e-salam kuchh bhi na thi
zikr hi se tere ujala tha
shama-e-bazm-e-kalam kuchh bhi na thi
aadmi ko nasha tha ruhani
pahle tauqir-e-jam kuchh bhi na thi
jaise sahra ki ho sada koi
qadr-e-arz-e-awam kuchh bhi na thi
dil-kusha dard ke siwa 'asrar'
wo judai ki sham kuchh bhi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.