husn ki ek chingari ne kya KHub lagai ishq ki aag
husn ki ek chingari ne kya KHub lagai ishq ki aag
Parveen Sultana Saba
MORE BYParveen Sultana Saba
husn kī ik chingārī ne kyā ḳhuub lagā.ī ishq kī aag
ruḳh par zulf kā jhoñkā aayā aur lahrā.ī ishq kī aag
aañkh se niklī ik dastak ne dil darvāza khol diyā
pyaar kā ik guldasta thāme milne aa.ī ishq kī aag
saath meñ jiinā saath meñ marnā rishta apnī sadiyoñ kā
ham-jolī ho apnī jaise yā māñ-jā.ī ishq kī aag
pair meñ chakkar haath meñ kaasa dil vāloñ kī bastī meñ
pyaar kī daulat lene nikle haath meñ aa.ī ishq kī aag
hijr ke tapte sahrā meñ ik yaad ke ghūñT se dam aayā
bilkul jaan nikalne ko thī jab pahuñchā.ī ishq kī aag
us zālim kī nazroñ meñ kuchh jaadū jaisī baat to thī
pahle pyaar kā ruup sajāyā phir sulgā.ī ishq kī aag
hijr ke hāthoñ dil kī zamīñ par nāg-phanī jab kāsht hue
ham ne yaad kī kaliyāñ sūñghīñ aur mahkā.ī ishq kī aag
duniyā bhar kī nahreñ dariyā aur samundar suukh ga.e
sohnī apne kachche ghaḌe meñ jab bhar laa.ī ishq kī aag
yuuñ to 'sabā' ham har mausam meñ aag meñ zinda jalte haiñ
sāvan kī rut ne lekin khul kar barsā.ī ishq kī aag
husn ki ek chingari ne kya KHub lagai ishq ki aag
ruKH par zulf ka jhonka aaya aur lahrai ishq ki aag
aankh se nikli ek dastak ne dil darwaza khol diya
pyar ka ek guldasta thame milne aai ishq ki aag
sath mein jina sath mein marna rishta apni sadiyon ka
ham-joli ho apni jaise ya man-jai ishq ki aag
pair mein chakkar hath mein kasa dil walon ki basti mein
pyar ki daulat lene nikle hath mein aai ishq ki aag
hijr ke tapte sahra mein ek yaad ke ghunT se dam aaya
bilkul jaan nikalne ko thi jab pahunchai ishq ki aag
us zalim ki nazron mein kuchh jadu jaisi baat to thi
pahle pyar ka rup sajaya phir sulgai ishq ki aag
hijr ke hathon dil ki zamin par nag-phani jab kasht hue
hum ne yaad ki kaliyan sunghin aur mahkai ishq ki aag
duniya bhar ki nahren dariya aur samundar sukh gae
sohni apne kachche ghaDe mein jab bhar lai ishq ki aag
yun to 'saba' hum har mausam mein aag mein zinda jalte hain
sawan ki rut ne lekin khul kar barsai ishq ki aag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.