Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ki riten ishq ki rasmen chhoTe bachche kya jaanen

Ejaz Ahmad Ejaz

husn ki riten ishq ki rasmen chhoTe bachche kya jaanen

Ejaz Ahmad Ejaz

MORE BYEjaz Ahmad Ejaz

    husn rīteñ ishq rasmeñ chhoTe bachche kyā jāneñ

    shoḳh adā.eñ mub.ham bāteñ chhoTe bachche kyā jāneñ

    sair hue to hañs lete haiñ bhuuk lagī to rote haiñ

    sub.h-e-bahārāñ bhīgī rāteñ chhoTe bachche kyā jāneñ

    koh samundar sahrā jañgal ḳhuub samajh lete haiñ lekin

    kaisī zālim haiñ ye ḳhalā.eñ chhoTe bachche kyā jāneñ

    sachchā.ī hai in maz.hab apnī ḳhatā bhī kah lete haiñ

    jhuuT ġhaban dhoke rāheñ chhoTe bachche kyā jāneñ

    pariyoñ ke afsāne sun kar shahzāde ban baiTh ga.e

    talḳh haqā.eq vaqt shakleñ chhoTe bachche kyā jāneñ

    lorī se 'ejāz' vo aksar apnā bahlāte haiñ

    giit ġhazal qit.e aur nazmeñ chhoTe bachche kyā jāneñ

    husn ki riten ishq ki rasmen chhoTe bachche kya jaanen

    shoKH adaen mubham baaten chhoTe bachche kya jaanen

    sair hue to hans lete hain bhuk lagi to rote hain

    subh-e-bahaaran bhigi raaten chhoTe bachche kya jaanen

    koh samundar sahra jangal KHub samajh lete hain lekin

    kaisi zalim hain ye KHalaen chhoTe bachche kya jaanen

    sachchai hai in ka mazhab apni KHata bhi kah lete hain

    jhuT ghaban dhoke ki rahen chhoTe bachche kya jaanen

    pariyon ke afsane sun kar shahzade ban baiTh gae

    talKH haqaeq waqt ki shaklen chhoTe bachche kya jaanen

    lori se 'ejaz' wo aksar apna ji bahlate hain

    git ghazal qite aur nazmen chhoTe bachche kya jaanen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now