husn kī vo sūrateñ ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ
parda-e-dil meñ lagā kar aag pinhāñ ho ga.iiñ
miT ke bhī ā.īna-e-ruḳhsār-e-ḳhūbāñ ho ga.iiñ
ḳhūn-e-ahl-e-ishq kī būñdeñ gulistāñ ho ga.iiñ
chhup ga.iiñ āñkhoñ se zarroñ meñ numāyāñ ho ga.iiñ
bastiyāñ ujḌī huī mil kar bayābāñ ho ga.iiñ
dekhtā kaun aur bujhātā kaun us dil kī lagī
haDDiyāñ jal jal ke sham-e-zer-e-dāmāñ ho ga.iiñ
zindagī meñ kyā mujhe miltī balāoñ se najāt
jo duā.eñ kiiñ vo sab terī nigahbāñ ho ga.iiñ
is havā-e-dahr meñ jam.īyat-e-ḳhātir kahāñ
dil ko jaane do ye zulfeñ kyuuñ pareshāñ ho ga.iiñ
zo.af baaqī hai koī jis kā nahīñ pursān-e-hāl
quvvateñ sab nazr-e-ishq-e-fitna-sāmāñ ho ga.iiñ
luuT lī gardūñ ne āḳhir dil kī saarī kā.enāt
kuchh tamannā.eñ thiiñ vo bhī vaqf-e-nisyāñ ho ga.iiñ
dost-dār-e-gul huuñ maiñ kis ne qafas se kah diyā
mujh ko pā kar tīliyāñ ḳhār-e-muġhīlāñ ho ga.iiñ
kam na samjho dahr meñ sarmāya-e-arbāb-e-ġham
chaar būñdeñ āñsuoñ kī baḌh ke tūfāñ ho ga.iiñ
ārzū-e-ālam-e-fānī thā aadam kā vajūd
ḳhvāhisheñ thiiñ jo baham ghul-mil ke insāñ ho ga.iiñ
ḳhānumāñ-barbādiyoñ kā mujh pe ehsāñ hai ki maiñ
un zamīnoñ meñ nahīñ jo bas ke vīrāñ ho ga.iiñ
merī āñkheñ shor thā jin kī vafā kā har taraf
zaḳhm dil meñ paḌte hī donoñ namak-dāñ ho ga.iiñ
uqda-hā-e-ġham se vābasta hai apnī zindagī
ham kahāñ ye mushkileñ jis vaqt āsāñ ho ga.iiñ
maiñ nisār-e-dast-e-qātil mar ke zinda ho gayā
ḳhanjar-o-shamshīr kī dhāreñ rag-e-jāñ ho ga.iiñ
ik sarāb-e-dasht thiiñ fasleñ shabāb-e-husn kī
dekhte hī dekhte āñkhoñ se pinhāñ ho ga.iiñ
kyā vafādāroñ ke jī Duube haiñ josh-e-ishq meñ
kashtiyāñ dil kī hazāroñ nazr-e-tūfāñ tūfāñ ga.iiñ
majma-e-ahbāb kī rūdād 'sāqib' kyā kahūñ
ab vo aglī sohbateñ ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ
husn ki wo suraten KHwab-e-pareshan ho gain
parda-e-dil mein laga kar aag pinhan ho gain
miT ke bhi aaina-e-ruKHsar-e-KHuban ho gain
KHun-e-ahl-e-ishq ki bunden gulistan ho gain
chhup gain aankhon se zarron mein numayan ho gain
bastiyan ujDi hui mil kar bayaban ho gain
dekhta kaun aur bujhata kaun us dil ki lagi
haDDiyan jal jal ke sham-e-zer-e-daman ho gain
zindagi mein kya mujhe milti balaon se najat
jo duaen kin wo sab teri nigahban ho gain
is hawa-e-dahr mein jamiyat-e-KHatir kahan
dil ko jaane do ye zulfen kyun pareshan ho gain
zoaf baqi hai koi jis ka nahin pursan-e-haal
quwwaten sab nazr-e-ishq-e-fitna-saman ho gain
luT li gardun ne aaKHir dil ki sari kaenat
kuchh tamannaen thin wo bhi waqf-e-nisyan ho gain
dost-dar-e-gul hun main kis ne qafas se kah diya
mujh ko pa kar tiliyan KHar-e-mughilan ho gain
kam na samjho dahr mein sarmaya-e-arbab-e-gham
chaar bunden aansuon ki baDh ke tufan ho gain
aarzu-e-alam-e-fani tha aadam ka wajud
KHwahishen thin jo baham ghul-mil ke insan ho gain
KHanuman-barbaadiyon ka mujh pe ehsan hai ki main
un zaminon mein nahin jo bas ke viran ho gain
meri aankhen shor tha jin ki wafa ka har taraf
zaKHm dil mein paDte hi donon namak-dan ho gain
uqda-ha-e-gham se wabasta hai apni zindagi
hum kahan ye mushkilen jis waqt aasan ho gain
main nisar-e-dast-e-qatil mar ke zinda ho gaya
KHanjar-o-shamshir ki dhaaren rag-e-jaan ho gain
ek sarab-e-dasht thin faslen shabab-e-husn ki
dekhte hi dekhte aankhon se pinhan ho gain
kya wafadaron ke ji Dube hain josh-e-ishq mein
kashtiyan dil ki hazaron nazr-e-tufan tufan gain
majma-e-ahbab ki rudad 'saqib' kya kahun
ab wo agli sohbaten KHwab-e-pareshan ho gain
Source :
Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 223)
Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.