husn ko aazma ke dekh liya
husn ko aazmā ke dekh liyā
dil pe ik zaḳhm khā ke dekh liyā
hosh apne to uḌ ga.e zālim
tum ko apnā banā ke dekh liyā
yaar matlab-parast sab nikle
har tarah aazmā ke dekh liyā
kuchh nahīñ hai hamāre bas meñ ab
zor saarā lagā ke dekh liyā
daad koī mirī nahīñ suntā
hākimoñ ko batā ke dekh liyā
vo asīrān-e-nafs the 'zāhid'
un ko ka.aba banā ke dekh liyā
husn ko aazma ke dekh liya
dil pe ek zaKHm kha ke dekh liya
hosh apne to uD gae zalim
tum ko apna bana ke dekh liya
yar matlab-parast sab nikle
har tarah aazma ke dekh liya
kuchh nahin hai hamare bas mein ab
zor sara laga ke dekh liya
dad koi meri nahin sunta
hakimon ko bata ke dekh liya
wo asiran-e-nafs the 'zahid'
un ko kaba bana ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.