husn ko shaklen dikhani aa gain
husn ko shakleñ dikhānī aa ga.iiñ
shoḳhiyāñ le kar javānī aa ga.iiñ
sar meñ saudā dil meñ dard ā.ankhoñ meñ ashk
bastiyāñ ham ko basānī aa ga.iiñ
jo bigaḌ jaatā thā bātoñ par kabhī
ab use bāteñ banānī aa ga.iiñ
dil meñ lākhoñ daaġh raushan ho ga.e
ishq ko sham.eñ jalānī aa ga.iiñ
barq-o-bārāñ ke jilau meñ badliyāñ
saath le kar aag paanī aa ga.iiñ
ai dil-e-rāhat-talab hoshyār-bāsh
sā.ateñ ab imtihānī aa ga.iiñ
dil lagā kar phañs ga.e zahmat meñ ham
thiiñ balā.eñ jitnī aanī aa ga.iiñ
muskurā denā qayāmat ho gayā
bijliyāñ tum ko girānī aa ga.iiñ
Dar rahe the jin se arbāb-e-jahāñ
vo balā.eñ āsmānī aa ga.iiñ
'nūh' vo kahte haiñ phir tūfān uThe
quvvateñ ab āzmānī aa ga.iiñ
husn ko shaklen dikhani aa gain
shoKHiyan le kar jawani aa gain
sar mein sauda dil mein dard aaankhon mein ashk
bastiyan hum ko basani aa gain
jo bigaD jata tha baaton par kabhi
ab use baaten banani aa gain
dil mein lakhon dagh raushan ho gae
ishq ko shamen jalani aa gain
barq-o-baran ke jilau mein badliyan
sath le kar aag pani aa gain
ai dil-e-rahat-talab hoshyar-bash
saaten ab imtihani aa gain
dil laga kar phans gae zahmat mein hum
thin balaen jitni aani aa gain
muskura dena qayamat ho gaya
bijliyan tum ko girani aa gain
Dar rahe the jin se arbab-e-jahan
wo balaen aasmani aa gain
'nuh' wo kahte hain phir tufan uThe
quwwaten ab aazmani aa gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.