husn majbur-e-jafa hai shayad
husn majbur-e-jafa hai shayad
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
husn majbūr-e-jafā hai shāyad
ye bhī ik tarz-e-adā hai shāyad
ek ġhamnāk sī aatī hai sadā
koī dil TuuT rahā hai shāyad
ḳhud-farāmosh huā jaatā huuñ
tū mujhe bhuul gayā hai shāyad
in hasīñ chāñd sitāroñ meñ kahīñ
terā naqsh-e-kaf-e-pā hai shāyad
ek duniyā se hue begāne
tujh se milne kā silā hai shāyad
har ghaḌī ashk-fishāñ haiñ āñkheñ
yahī anjām-e-vafā hai shāyad
in laboñ par ye tabassum kī ziyā
shoḳhī-e-baḳht-e-rasā hai shāyad
husn majbur-e-jafa hai shayad
ye bhi ek tarz-e-ada hai shayad
ek ghamnak si aati hai sada
koi dil TuT raha hai shayad
KHud-faramosh hua jata hun
tu mujhe bhul gaya hai shayad
in hasin chand sitaron mein kahin
tera naqsh-e-kaf-e-pa hai shayad
ek duniya se hue begane
tujh se milne ka sila hai shayad
har ghaDi ashk-fishan hain aankhen
yahi anjam-e-wafa hai shayad
in labon par ye tabassum ki ziya
shoKHi-e-baKHt-e-rasa hai shayad
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 136)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.