husn se dil-lagi nahin hoti
husn se dil-lagī nahīñ hotī
ishq meñ surgery nahīñ hotī
sab nazar kā kamāl hai varna
shakl achchhī-burī nahīñ hotī
aag se khelnā nahīñ achchhā
saañp se dostī nahīñ hotī
ham ujāloñ kī karte haiñ taḳhlīq
haañ magar dhuup kī nahīñ hotī
bhuul kar bhī udhar nahīñ jaate
jo galī aap kī nahīñ hotī
is qadar dil uchāT hai 'shāhīn'
ham se ab shā.erī nahīñ hotī
husn se dil-lagi nahin hoti
ishq mein surgery nahin hoti
sab nazar ka kamal hai warna
shakl achchhi-buri nahin hoti
aag se khelna nahin achchha
sanp se dosti nahin hoti
hum ujalon ki karte hain taKHliq
han magar dhup ki nahin hoti
bhul kar bhi udhar nahin jate
jo gali aap ki nahin hoti
is qadar dil uchaT hai 'shahin'
hum se ab shaeri nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.