husn se rasm-o-rah hone do
husn se rasm-o-rāh hone do
zindagī ko tabāh hone do
us kī rahmat kī raah hone do
fard-e-isyāñ siyāh hone do
manzil-e-husn ḳhud qadam legī
ishq ko rad-ba-rāh hone do
us kī rahmat kā aasrā hai mujhe
mujh se sarzad gunāh hone do
charḳh par bijliyāñ sī taḌpeñgī
un ko garm nigāh hone do
merā zimma agar davā na bane
dard ko be-panāh hone do
fitrat-e-ishq hai yahī 'jauhar'
dīn-o-duniyā tabāh hone do
husn se rasm-o-rah hone do
zindagi ko tabah hone do
us ki rahmat ki rah hone do
fard-e-isyan siyah hone do
manzil-e-husn KHud qadam legi
ishq ko rad-ba-rah hone do
us ki rahmat ka aasra hai mujhe
mujh se sarzad gunah hone do
charKH par bijliyan si taDpengi
un ko garm nigah hone do
mera zimma agar dawa na bane
dard ko be-panah hone do
fitrat-e-ishq hai yahi 'jauhar'
din-o-duniya tabah hone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.