Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sair-e-duniya se gharaz thi mahw-e-duniya kar diya

Hari Chand Akhtar

sair-e-duniya se gharaz thi mahw-e-duniya kar diya

Hari Chand Akhtar

MORE BYHari Chand Akhtar

    sair-e-duniyā se ġharaz thī mahv-e-duniyā kar diyā

    maiñ ne kyā chāhā mire allāh ne kyā kar diyā

    rokne vaalā na thā koī ḳhudā ko is liye

    jo kuchh aayā us ke meñ be-muhābā kar diyā

    haañ isī kam-baḳht dil ne kar diyā ifshā-e-rāz

    haañ isī kam-baḳht dil ne mujh ko rusvā kar diyā

    ishq in terī bātoñ meñ nahīñ aane ke ham

    achchhe achchhoñ ko jahāñ meñ ne rusvā kar diyā

    zindagī baiThī thī apne husn par bhūlī huī

    maut ne aate saarā rañg phīkā kar diyā

    husn ne pahle to sab mujh par haqīqat khol

    aur phir ḳhāmosh rahne ishārā kar diyā

    husn ko pahnā chuke jab ḳhud-numā.ī libās

    ishq ne sar piiT kar pūchhā ki ye kyā kar diyā

    sair-e-duniya se gharaz thi mahw-e-duniya kar diya

    main ne kya chaha mere allah ne kya kar diya

    rokne wala na tha koi KHuda ko is liye

    jo kuchh aaya us ke ji mein be-muhaba kar diya

    han isi kam-baKHt dil ne kar diya ifsha-e-raaz

    han isi kam-baKHt dil ne mujh ko ruswa kar diya

    ishq ja in teri baaton mein nahin aane ke hum

    achchhe achchhon ko jahan mein tu ne ruswa kar diya

    zindagi baiThi thi apne husn par bhuli hui

    maut ne aate hi sara rang phika kar diya

    husn ne pahle to sab mujh par haqiqat khol di

    aur phir KHamosh rahne ka ishaara kar diya

    husn ko pahna chuke jab KHud-numai ka libas

    ishq ne sar piT kar puchha ki ye kya kar diya

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now