aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shamshir-e-barhana mang ghazab baalon ki mahak phir waisi hi

Bahadur Shah Zafar

shamshir-e-barhana mang ghazab baalon ki mahak phir waisi hi

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    Interesting Fact

    Film: Tiger Gang 1974

    shamshīr-e-barhana maañg ġhazab bāloñ mahak phir vaisī

    juuḌe guñdhāvaT qahr-e-ḳhudā bāloñ mahak phir vaisī

    is razor-sharp, hair's parting line, the fragrance of her curls divine

    enrapturing, her coiffure's braid, scent of her tresses does pervade

    āñkheñ haiñ kaTorā vo sitam gardan hai surāhī-dār ġhazab

    aur usī meñ sharāb-e-surḳhi-e-pāñ rakhtī hai jhalak phir vaisī

    eyes saucer-like her face bedeck, just like a flask her slender neck

    and glimpses of deep scarlet wine, in her throat one can divine

    har baat meñ us garmī hai har naaz meñ us ke shoḳhī hai

    qāmat hai qayāmat chaal parī chalne meñ phaḌak phir vaisī

    there's warmth in everything she says, in all her airs there mischief plays

    slender and tall with nymph like grace, a flutter in her every pace

    gar rañg bhabūkā ātish hai aur biinī shola-e-sarkash hai

    to bijlī kauñde hai parī aariz chamak phir vaisī

    her hue is of a fire blazed / and nose, a flame's rebellion crazed

    like lightning does that angel strike, the luster of her cheeks alike

    nau-ḳhez kucheñ do ġhuncha haiñ hai narm shikam ik ḳhirman-e-gul

    bārīk kamar jo shāḳh-e-gul rakhtī hai lachak phir vaisī

    two budding flowers her breasts array, her midriff soft as silken hay

    her slender waist a flower's stem, it undulates and sows mayhem

    hai naaf koī girdāb-e-balā aur gol surīñ rāneñ haiñ safā

    hai saaq bilorīñ sham-e-ziyā paañv kafak phir vaisī

    her navel's whorl-calamity / and round her rump, thighs velvety

    her calves are crystal's brilliant flame, soles of her feet too are the same

    mahram hai habāb-e-āb-e-ravāñ sūraj kiran hai us pe lipaT

    jaalī kurtī hai vo balā goTe dhanak phir vaisī

    her breasts in silken bustier, rays of the sun to her adhere

    her lacy blouse does so ignite, shimmering with golden light

    vo gaa.e to aafat laa.e hai har taal meñ leve jaan nikāl

    naach us uThā.e sau fitne ghuñgrū jhanak phir vaisī

    her dulcet tones cause storms to rise, her every tune is my demise

    her dancing raises mutiny, bells on her feet a symphony

    har baat pe ham se vo jo 'zafar' kartā hai lagāvaT muddat se

    aur us chāhat rakhte haiñ ham aaj talak phir vaisī

    at every step she does restrain, 'zafar', long I've tried in vain

    and to this very day I claim / my love for her is just the same

    shamshir-e-barhana mang ghazab baalon ki mahak phir waisi hi

    juDe ki gundhawaT qahr-e-KHuda baalon ki mahak phir waisi hi

    is razor-sharp, hair's parting line, the fragrance of her curls divine

    enrapturing, her coiffure's braid, scent of her tresses does pervade

    aankhen hain kaTora si wo sitam gardan hai surahi-dar ghazab

    aur usi mein sharab-e-surKHi-e-pan rakhti hai jhalak phir waisi hi

    eyes saucer-like her face bedeck, just like a flask her slender neck

    and glimpses of deep scarlet wine, in her throat one can divine

    har baat mein us ki garmi hai har naz mein us ke shoKHi hai

    qamat hai qayamat chaal pari chalne mein phaDak phir waisi hi

    there's warmth in everything she says, in all her airs there mischief plays

    slender and tall with nymph like grace, a flutter in her every pace

    gar rang bhabuka aatish hai aur bini shola-e-sarkash hai

    to bijli si kaunde hai pari aariz ki chamak phir waisi hi

    her hue is of a fire blazed / and nose, a flame's rebellion crazed

    like lightning does that angel strike, the luster of her cheeks alike

    nau-KHez kuchen do ghuncha hain hai narm shikam ek KHirman-e-gul

    barik kamar jo shaKH-e-gul rakhti hai lachak phir waisi hi

    two budding flowers her breasts array, her midriff soft as silken hay

    her slender waist a flower's stem, it undulates and sows mayhem

    hai naf koi girdab-e-bala aur gol surin ranen hain safa

    hai saq bilorin sham-e-ziya panw ki kafak phir waisi hi

    her navel's whorl-calamity / and round her rump, thighs velvety

    her calves are crystal's brilliant flame, soles of her feet too are the same

    mahram hai habab-e-ab-e-rawan suraj ki kiran hai us pe lipaT

    jali ki kurti hai wo bala goTe ki dhanak phir waisi hi

    her breasts in silken bustier, rays of the sun to her adhere

    her lacy blouse does so ignite, shimmering with golden light

    wo gae to aafat lae hai har tal mein lewe jaan nikal

    nach us ka uThae sau fitne ghungru ki jhanak phir waisi hi

    her dulcet tones cause storms to rise, her every tune is my demise

    her dancing raises mutiny, bells on her feet a symphony

    har baat pe hum se wo jo 'zafar' karta hai lagawaT muddat se

    aur us ki chahat rakhte hain hum aaj talak phir waisi hi

    at every step she does restrain, 'zafar', long I've tried in vain

    and to this very day I claim / my love for her is just the same

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Habib Wali Mohammad

    Habib Wali Mohammad

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    shamshir-e-barhana mang ghazab baalon ki mahak phir waisi hi Nomaan Shauque

    Source:

    Deewan-e-Zafar (Pg. 70)

    • Author: Bahadur Shah Zafar
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd, New Delhi
      • Year of Publication: 2002

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now