husn wale wo kaam karte hain
husn vaale vo kaam karte haiñ
lafz jhuk kar salām karte haiñ
umr bhar ye ġhulām na samjhā
aap kaise ġhulām karte haiñ
ḳhush-nasībī guloñ pe ḳhatm huī
un kī zulfoñ meñ shaam karte haiñ
qissa-e-ishq aage baḌh na sakā
vo mirā ehtirām karte haiñ
bā-adab bā-mulāhiza ghar meñ
ab kabūtar qayām karte haiñ
fatvā ta.abīr par hai laagū huzūr
ḳhvāb ko kyoñ harām karte haiñ
jaam to toḌ baiThe mimbar par
ab subū ko imaam karte haiñ
chaar ḳhāne banā.e baiThā hai
dil tirā intizām karte haiñ
sab shurūa karte haiñ ba-nām-e-ḳhudā
ham ḳhudā par tamām karte haiñ
bin mile jin se 'qais' ishq huā
ye ġhazal un ke naam karte haiñ
husn wale wo kaam karte hain
lafz jhuk kar salam karte hain
umr bhar ye ghulam na samjha
aap kaise ghulam karte hain
KHush-nasibi gulon pe KHatm hui
un ki zulfon mein sham karte hain
qissa-e-ishq aage baDh na saka
wo mera ehtiram karte hain
ba-adab ba-mulahiza ghar mein
ab kabutar qayam karte hain
fatwa tabir par hai lagu huzur
KHwab ko kyon haram karte hain
jam to toD baiThe mimbar par
ab subu ko imam karte hain
chaar KHane banae baiTha hai
dil tera intizam karte hain
sab shurua karte hain ba-nam-e-KHuda
hum KHuda par tamam karte hain
bin mile jin se 'qais' ishq hua
ye ghazal un ke nam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.