husn walon ka sar-e-sahil nazara hai ki nain
husn vāloñ kā sar-e-sāhil nazāra hai ki na.iñ
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā hai ki na.iñ
jab ki ham donoñ ne bāñg-e-dil pe āmannā kahā
haal hai ab jo hamārā vo tumhārā hai ki na.iñ
fā.ede se mujh ko zyāda fikr hai nuqsān kī
muḳhlisī ke kaam meñ koī ḳhasāra hai ki na.iñ
merī sehhat ho ga.ī behtar tumhāre ishq meñ
tum ko bhī kār-e-mohabbat ne sañvārā hai ki na.iñ
un ko dekhā dekhte hī ham shanāvar ho ga.e
bahr-e-ulfat kā ḳhudā jaane kināra hai ki na.iñ
ye jabīñ ruḳhsār āñkheñ lab hamāre haiñ magar
ye batāo dil tumhārā bhī hamārā hai ki na.iñ
husn walon ka sar-e-sahil nazara hai ki nain
Dubne wale ko tinke ka sahaara hai ki nain
jab ki hum donon ne bang-e-dil pe aamanna kaha
haal hai ab jo hamara wo tumhaara hai ki nain
faede se mujh ko zyaada fikr hai nuqsan ki
muKHlisi ke kaam mein koi KHasara hai ki nain
meri sehhat ho gai behtar tumhaare ishq mein
tum ko bhi kar-e-mohabbat ne sanwara hai ki nain
un ko dekha dekhte hi hum shanawar ho gae
bahr-e-ulfat ka KHuda jaane kinara hai ki nain
ye jabin ruKHsar aankhen lab hamare hain magar
ye batao dil tumhaara bhi hamara hai ki nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.