husn walon mein sada KHu-e-jafa pai gai
husn vāloñ meñ sadā ḳhū-e-jafā paa.ī ga.ī
nāznīnoñ meñ magar ḳhū-e-adā paa.ī ga.ī
ho ga.ī chāragarī chāragaroñ kī be-asar
haañ faqīroñ kī zabānoñ par duā paa.ī ga.ī
rāh-e-haq meñ jaan jo hañs kar fidā apnī kareñ
un shahīdoñ hī meñ to ḳhū-e-vafā paa.ī ga.ī
hotī hai har ek dil meñ yuuñ to jiine kī taḌap
naujavānoñ meñ magar ye ḳhū sivā paa.ī ga.ī
husn terā ho gayā hai baḌh ke husn-e-yūsufī
āñkhoñ meñ jab bhī tirī sharm-o-hayā paa.ī ga.ī
nek kāmoñ kā sila miltā hai uqbā meñ magar
nek kāmoñ kī yahāñ bhī to jazā paa.ī ga.ī
ishq vāloñ kā haqīqat meñ hai ik apnā vaqār
husn vāloñ meñ bhī 'kundan' ḳhaas adā paa.ī ga.ī
husn walon mein sada KHu-e-jafa pai gai
nazninon mein magar KHu-e-ada pai gai
ho gai chaaragari chaaragaron ki be-asar
han faqiron ki zabanon par dua pai gai
rah-e-haq mein jaan jo hans kar fida apni karen
un shahidon hi mein to KHu-e-wafa pai gai
hoti hai har ek dil mein yun to jine ki taDap
naujawanon mein magar ye KHu siwa pai gai
husn tera ho gaya hai baDh ke husn-e-yusufi
aankhon mein jab bhi teri sharm-o-haya pai gai
nek kaamon ka sila milta hai uqba mein magar
nek kaamon ki yahan bhi to jaza pai gai
ishq walon ka haqiqat mein hai ek apna waqar
husn walon mein bhi 'kundan' KHas ada pai gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.