hun KHatawar koi saza dijiye
huuñ ḳhatāvār koī sazā dījiye
pyaar kā kuchh to mujh ko sila dījiye
bevafā.ī kā ilzām de kar mujhe
yuuñ na mahfil se apnī uThā dījiye
nafrateñ dil meñ rakhne se kyā fā.eda
iḳhtilāfāt-e-bāham miTā dījiye
ham banā.eñge phir ik nayā āshiyāñ
aap toḌeñ ise yā girā dījiye
justujū kījiye ik na.e daur kī
nā-umīdī ko dil se miTā dījiye
āshiyāñ phir banāyā hai ham ne falak
shauq se aap bijlī girā dījiye
shaad rahtā hai 'nayyar' to a hāsīdo
aag ḳhushiyoñ meñ us kī lagā dījiye
hun KHatawar koi saza dijiye
pyar ka kuchh to mujh ko sila dijiye
bewafai ka ilzam de kar mujhe
yun na mahfil se apni uTha dijiye
nafraten dil mein rakhne se kya faeda
iKHtilafat-e-baham miTa dijiye
hum banaenge phir ek naya aashiyan
aap toDen ise ya gira dijiye
justuju kijiye ek nae daur ki
na-umidi ko dil se miTa dijiye
aashiyan phir banaya hai hum ne falak
shauq se aap bijli gira dijiye
shad rahta hai 'nayyar' to a hasido
aag KHushiyon mein us ki laga dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.