hun ki jab tak hai kisi ne motabar rakkha hua
hun ki jab tak hai kisi ne motabar rakkha hua
Ahmad Husain Mujahid
MORE BYAhmad Husain Mujahid
huuñ ki jab tak hai kisī ne mo'tabar rakkhā huā
varna vo hai bāñdh kar raḳht-e-safar rakkhā huā
mujh ko mere sab shahīdoñ ke taqaddus kī qasam
ek ta.ana hai mujhe shānoñ pe sar rakkhā huā
mere bojhal paañv ghuñghrū bāñdh kar halke hue
sochne se kyā nikaltā dil meñ Dar rakkhā huā
ik na.ī manzil kī dhun meñ daf.atan sarkā liyā
us ne apnā paañv mere paañv par rakkhā huā
tū hī duniyā ko samajh parvarda-e-duniyā hai tū
maiñ yūñhī achchhā huuñ sab se be-ḳhabar rakkhā huā
hun ki jab tak hai kisi ne mo'tabar rakkha hua
warna wo hai bandh kar raKHt-e-safar rakkha hua
mujh ko mere sab shahidon ke taqaddus ki qasam
ek tana hai mujhe shanon pe sar rakkha hua
mere bojhal panw ghunghru bandh kar halke hue
sochne se kya nikalta dil mein Dar rakkha hua
ek nai manzil ki dhun mein dafatan sarka liya
us ne apna panw mere panw par rakkha hua
tu hi duniya ko samajh parwarda-e-duniya hai tu
main yunhi achchha hun sab se be-KHabar rakkha hua
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 15.01.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.