hun zat-e-fana mujhko fana kaun karega
huuñ zāt-e-fanā mujh ko fanā kaun karegā
qatre ko samundar se judā kaun karegā
tū rahmat-e-ālam hai shahanshāh-e-madīna
ummat pe karam tere sivā kaun karegā
lenā hai to le le abhī jannat kī duā.eñ
gar maañ na rahegī to duā kaun karegā
is daur meñ miltā nahīñ shīsha-gar-e-pur-fan
phir sher parakhne kī ḳhatā kaun karegā
ghar merā jalānā hai to dāman na bachānā
bhaḌke hue sho.aloñ pe havā kaun karegā
tū dard mohabbat kā mujhe de to rahā hai
ye bhī to batā is kī davā kaun karegā
'jāved' mirī jaan ke dushman haiñ mire dost
ab tū hī batā merā bhalā kaun karegā
hun zat-e-fana mujh ko fana kaun karega
qatre ko samundar se juda kaun karega
tu rahmat-e-alam hai shahanshah-e-madina
ummat pe karam tere siwa kaun karega
lena hai to le le abhi jannat ki duaen
gar man na rahegi to dua kaun karega
is daur mein milta nahin shisha-gar-e-pur-fan
phir sher parakhne ki KHata kaun karega
ghar mera jalana hai to daman na bachana
bhaDke hue shoalon pe hawa kaun karega
tu dard mohabbat ka mujhe de to raha hai
ye bhi to bata is ki dawa kaun karega
'jawed' meri jaan ke dushman hain mere dost
ab tu hi bata mera bhala kaun karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.