Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

huzur-e-yar bhi aansu nikal hi aate hain

Mohammad Deen Taseer

huzur-e-yar bhi aansu nikal hi aate hain

Mohammad Deen Taseer

MORE BYMohammad Deen Taseer

    huzūr-e-yār bhī aañsū nikal aate haiñ

    kuchh iḳhtilāf ke pahlū nikal aate haiñ

    mizāj ek nazar ek dil bhī ek sahī

    muāmalāt-e-man-o-tū nikal aate haiñ

    hazār ham-suḳhnī ho hazār ham-nazarī

    maqām-e-jumbish-e-abrū nikal aate haiñ

    hinā-e-nāḳhun-e-pā ho ki halqa-e-sar-e-zulf

    chhupāo bhī to ye jaadū nikal aate haiñ

    janāb-e-shaiḳh vazū ke liye sahī lekin

    kisī bahāne lab-e-jū nikal aate haiñ

    matā-e-ishq vo aañsū jo dil meñ Duub ga.e

    zamīñ rizq jo aañsū nikal aate haiñ

    huzur-e-yar bhi aansu nikal hi aate hain

    kuchh iKHtilaf ke pahlu nikal hi aate hain

    mizaj ek nazar ek dil bhi ek sahi

    muamalat-e-man-o-tu nikal hi aate hain

    hazar ham-suKHni ho hazar ham-nazari

    maqam-e-jumbish-e-abru nikal hi aate hain

    hina-e-naKHun-e-pa ho ki halqa-e-sar-e-zulf

    chhupao bhi to ye jadu nikal hi aate hain

    janab-e-shaiKH wazu ke liye sahi lekin

    kisi bahane lab-e-ju nikal hi aate hain

    mata-e-ishq wo aansu jo dil mein Dub gae

    zamin ka rizq jo aansu nikal hi aate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now