huzur-e-yar mein harf iltija ke rakkhe the
huzūr-e-yār meñ harf iltijā ke rakkhe the
charāġh sāmne jaise havā ke rakkhe the
bas ek ashk-e-nadāmat ne saaf kar Daale
vo sab hisāb jo ham ne uThā ke rakkhe the
sumūm-e-vaqt ne lahje ko zaḳhm zaḳhm kiyā
vagarna ham ne qarīne sabā ke rakkhe the
bikhar rahe the so ham ne uThā liye ḳhud hī
gulāb jo tirī ḳhātir sajā ke rakkhe the
havā ke pahle hī jhoñke se haar maan ga.e
vahī charāġh jo ham ne bachā ke rakkhe the
tumhī ne paañv na rakkhā vagarna vasl kī shab
zamīñ pe ham ne sitāre bichhā ke rakkhe the
miTā sakī na unheñ roz o shab kī bārish bhī
diloñ pe naqsh jo rañg-e-hinā ke rakkhe the
husūl-e-manzil-e-duniyā kuchh aisā kaam na thā
magar jo raah meñ patthar anā ke rakkhe the
huzur-e-yar mein harf iltija ke rakkhe the
charagh samne jaise hawa ke rakkhe the
bas ek ashk-e-nadamat ne saf kar Dale
wo sab hisab jo hum ne uTha ke rakkhe the
sumum-e-waqt ne lahje ko zaKHm zaKHm kiya
wagarna hum ne qarine saba ke rakkhe the
bikhar rahe the so hum ne uTha liye KHud hi
gulab jo teri KHatir saja ke rakkhe the
hawa ke pahle hi jhonke se haar man gae
wahi charagh jo hum ne bacha ke rakkhe the
tumhi ne panw na rakkha wagarna wasl ki shab
zamin pe hum ne sitare bichha ke rakkhe the
miTa saki na unhen roz o shab ki barish bhi
dilon pe naqsh jo rang-e-hina ke rakkhe the
husul-e-manzil-e-duniya kuchh aisa kaam na tha
magar jo rah mein patthar ana ke rakkhe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.